jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa
jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa
Habeeb Moosavi
MORE BYHabeeb Moosavi
jabīn par kyuuñ shikan hai ai jaan muñh hai ġhusse se laal kaisā
hazār bāteñ hoñ ek haiñ phir bhalā ye bāham malāl kaisā
nahīñ hai ab tāb-e-dard-e-furqat kahāñ kī izzat kahāñ kī ġhairat
haiñ mubtalā apne haal meñ ham kisī kā is dam ḳhayāl kaisā
batāo mujh ko ye kyā huā hai ye kaun sā dard-e-lā-davā hai
ye kyuuñ mirā dam ulajh rahā hai hai ḳhud-baḳhud jī niDhāl kaisā
tamām aalam huā jo shaidā to kuchh ta.ajjub nahīñ hai is kā
but-e-sitamgār tujh ko baḳhshā ḳhudā ne husn-o-jamāl kaisā
gunah se serī huī nahīñ hai ye kahte haiñ sab ajal qarīñ hai
qalaq meñ har dam dil-e-hazīñ hai ki hogā apnā ma.aal kaisā
ye us sitamgar se koī kah de marīz-e-furqat kī ab ḳhabar le
haiñ kaT rahī zindagī kī ghaḌiyāñ kahāñ kā din māh-o-sāl kaisā
ġhazab se hai vaañ jo chiiñ jabīñ par hujūm-e-ġham hai dil-e-hazīñ par
lahū ke dhabbe haiñ āstīñ par hai dāman ashkoñ se laal kaisā
havas hai har ek jī kī jī meñ hue jo ġhash vasl kī ḳhushī meñ
tamām shab guzrī be-ḳhudī meñ javāb kaisā savāl kaisā
jahān chhānā paḌā hai kab kā falak pe vahshat kā ab hai shohrā
kahāñ kā maġhrib kahāñ kā mashriq junūb kaisā shumāl kaisā
vo mehr huuñ maiñ huā jo tāle.a to ik zamāne ne ḳhaak uḌaa.ī
chamakne dete nahīñ haiñ bad meñ uruuj kaisā zavāl kaisā
'habīb' kar ke butoñ kī ulfat abhī se ye hijr kī shikāyat
rahegā ab hashr tak ye jhagḌā yahāñ bhalā infisāl kaisā
jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa
hazar baaten hon ek hain phir bhala ye baham malal kaisa
nahin hai ab tab-e-dard-e-furqat kahan ki izzat kahan ki ghairat
hain mubtala apne haal mein hum kisi ka is dam KHayal kaisa
batao mujh ko ye kya hua hai ye kaun sa dard-e-la-dawa hai
ye kyun mera dam ulajh raha hai hai KHud-baKHud ji niDhaal kaisa
tamam aalam hua jo shaida to kuchh tajjub nahin hai is ka
but-e-sitamgar tujh ko baKHsha KHuda ne husn-o-jamal kaisa
gunah se seri hui nahin hai ye kahte hain sab ajal qarin hai
qalaq mein har dam dil-e-hazin hai ki hoga apna maal kaisa
ye us sitamgar se koi kah de mariz-e-furqat ki ab KHabar le
hain kaT rahi zindagi ki ghaDiyan kahan ka din mah-o-sal kaisa
ghazab se hai wan jo chin jabin par hujum-e-gham hai dil-e-hazin par
lahu ke dhabbe hain aastin par hai daman ashkon se lal kaisa
hawas hai har ek ji ki ji mein hue jo ghash wasl ki KHushi mein
tamam shab guzri be-KHudi mein jawab kaisa sawal kaisa
jahan chhana paDa hai kab ka falak pe wahshat ka ab hai shohra
kahan ka maghrib kahan ka mashriq junub kaisa shumal kaisa
wo mehr hun main hua jo talea to ek zamane ne KHak uDai
chamakne dete nahin hain bad mein uruj kaisa zawal kaisa
'habib' kar ke buton ki ulfat abhi se ye hijr ki shikayat
rahega ab hashr tak ye jhagDa yahan bhala infisal kaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.