jabin pe unki ye bindi ka dagh kya kahiye
jabīñ pe un kī ye bindī kā daaġh kyā kahiye
hai āftāb kī zīnat charāġh kyā kahiye
har ik adā tirī qātil hai saare aalam kī
kahāñ lagā.iye apnā surāġh kyā kahiye
muhāl jaan rahā huuñ tirā husūl magar
hai tere ishq se dil baaġh baaġh kyā kahiye
paḌegī kis pe ki tujh par hī ḳhud nahīñ paḌtī
tirī nigāh kā kāfir dimāġh kyā kahiye
tirī nigāh ke mad.hosh tere 'maikash' se
hadīs-e-jām-o-lab-e-jūe-e-bāġh kyā kahiye
jabin pe un ki ye bindi ka dagh kya kahiye
hai aaftab ki zinat charagh kya kahiye
har ek ada teri qatil hai sare aalam ki
kahan lagaiye apna suragh kya kahiye
muhaal jaan raha hun tera husul magar
hai tere ishq se dil bagh bagh kya kahiye
paDegi kis pe ki tujh par hi KHud nahin paDti
teri nigah ka kafir dimagh kya kahiye
teri nigah ke madhosh tere 'maikash' se
hadis-e-jam-o-lab-e-jue-e-bagh kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.