jabki wo jaan-e-jahan bad-mast-e-KHwab aaya nazar
jabki vo jān-e-jahāñ bad-mast-e-ḳhvāb aaya nazar
zāhid-e-sad-sāla masjid meñ ḳharāb aaya nazar
jalva-e-mahbūb-e-haq kyā be-hijāb aaya nazar
māhtāb aaya nazar yā āftāb aaya nazar
hosh meñ rahtā nahīñ saaqī kī majlis meñ koī
ḳhushk zāhid bhī vahāñ mast-e-sharāb aaya nazar
chāk-dāman ḳhāk-bar-sar ḳhasta-dil tafta-jigar
terā shaidā.ī zamāne meñ ḳharāb aaya nazar
āshiqoñ ko tere hogī tāb-e-nazzāra kahāñ
hosh uḌ jā.eñge jab tū be-naqāb aaya nazar
āshiqoñ ko tere hogī tāb-e-nazzāra kahāñ
hosh uḌ jā.eñge jab tū be-naqāb aaya nazar
tere ruḳh ko dekh kar khoyā namāz-e-fajr ko
sajda jaa.ez hī nahīñ jab āftāb aaya nazar
chal rahā thā majlis-e-rindāñ meñ jab daur-e-sharāb
haa.e vaañ bhī mohtasib ḳhāna-ḳharāb aaya nazar
tāq-e-abrū aap kā hai sajda-gāh-e-āshiqāñ
kyoñ na ho dekhā to ka.abe kā javāb aaya nazar
siina biryāñ dil tapāñ hai ishq-e-jānāñ meñ mirā
chiir kar siina jigar dekhā kabāb aaya nazar
jab ḳhayāl aaya gunāhoñ kā to tere ḳhauf se
kaañp uThtā dil mirā roz-e-hisāb aaya nazar
josh rahmat ko huā aur dhul ga.e isyāñ tamām
jab 'qamar' aage tire chashm-e-pur-āb aaya nazar
jabki wo jaan-e-jahan bad-mast-e-KHwab aaya nazar
zahid-e-sad-sala masjid mein KHarab aaya nazar
jalwa-e-mahbub-e-haq kya be-hijab aaya nazar
mahtab aaya nazar ya aaftab aaya nazar
hosh mein rahta nahin saqi ki majlis mein koi
KHushk zahid bhi wahan mast-e-sharab aaya nazar
chaak-daman KHak-bar-sar KHasta-dil tafta-jigar
tera shaidai zamane mein KHarab aaya nazar
aashiqon ko tere hogi tab-e-nazzara kahan
hosh uD jaenge jab tu be-naqab aaya nazar
aashiqon ko tere hogi tab-e-nazzara kahan
hosh uD jaenge jab tu be-naqab aaya nazar
tere ruKH ko dekh kar khoya namaz-e-fajr ko
sajda jaez hi nahin jab aaftab aaya nazar
chal raha tha majlis-e-rindan mein jab daur-e-sharab
hae wan bhi mohtasib KHana-KHarab aaya nazar
taq-e-abru aap ka hai sajda-gah-e-ashiqan
kyon na ho dekha to kabe ka jawab aaya nazar
sina biryan dil tapan hai ishq-e-jaanan mein mera
chir kar sina jigar dekha kabab aaya nazar
jab KHayal aaya gunahon ka to tere KHauf se
kanp uThta dil mera roz-e-hisab aaya nazar
josh rahmat ko hua aur dhul gae isyan tamam
jab 'qamar' aage tere chashm-e-pur-ab aaya nazar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.