jabr aur iKHtiyar se aage
jabr aur iḳhtiyār se aage
kab ga.e is dayār se aage
ek aa.iin hai tulū-o-ġhurūb
jaise patjhaḌ bahār ke aage
kaun sī mamlikat kī sarhad hai
jism-o-jāñ ke dayār se aage
ḳhāmushī kā muhīb sahrā hai
sabza-zār-e-pukār se aage
bārishoñ se khilī hai hariyālī
shahr-e-gard-o-ġhubār se aage
jabr aur iKHtiyar se aage
kab gae is dayar se aage
ek aain hai tulu-o-ghurub
jaise patjhaD bahaar ke aage
kaun si mamlikat ki sarhad hai
jism-o-jaan ke dayar se aage
KHamushi ka muhib sahra hai
sabza-zar-e-pukar se aage
barishon se khili hai hariyali
shahr-e-gard-o-ghubar se aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.