jabr aur sabr bar hota hai
jabr aur sabr baar hotā hai
dil pe kab iḳhtiyār hotā hai
vo zamāne ki ḳhaar tak mahkeñ
yādgār-e-bahār hotā hai
raat aur din kī koī qaid nahīñ
aap kā intizār hotā hai
band kartā huuñ jab bhī maiñ āñkheñ
sāmne rū-e-yār hotā hai
ahl-e-gulshan ko kyā ḳhizāñ ko bhī
intizār-e-bahār hotā hai
jī rahā huuñ bas is nazariye par
hāsil-e-zīst pyaar hotā hai
apne aḳhlāq hī se duniyā meñ
aadmī bā-vaqār hotā hai
nāḳhudā ko ye kyā ġharaz koī
Dūbtā hai ki paar hotā hai
'nūr' vo gul jo ho ḳhizāñ-dīda
hāsil-e-sad-bahār hotā hai
jabr aur sabr bar hota hai
dil pe kab iKHtiyar hota hai
wo zamane ki KHar tak mahken
yaadgar-e-bahaar hota hai
raat aur din ki koi qaid nahin
aap ka intizar hota hai
band karta hun jab bhi main aankhen
samne ru-e-yar hota hai
ahl-e-gulshan ko kya KHizan ko bhi
intizar-e-bahaar hota hai
ji raha hun bas is nazariye par
hasil-e-zist pyar hota hai
apne aKHlaq hi se duniya mein
aadmi ba-waqar hota hai
naKHuda ko ye kya gharaz koi
Dubta hai ki par hota hai
'nur' wo gul jo ho KHizan-dida
hasil-e-sad-bahaar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.