jabr be-chaargi ke maron mein
jabr be-chārgī ke māroñ meñ
ham haiñ ḳhud apne sogvāroñ meñ
aa.ine aks ko taraste haiñ
sūratoñ ke tilism-zāroñ meñ
laġhzish-e-pā-e-be-zabānī tak
raushnī kam hai rahguzāroñ meñ
log apnī talāsh kī ḳhātir
chhup ga.e justujū ke ġhāroñ meñ
kis ko tūl-e-kalām kī fursat
baat karte haiñ isti.āroñ meñ
maut kā intizār karte haiñ
mujrmoñ kī tarah qatāroñ meñ
jabr be-chaargi ke maron mein
hum hain KHud apne sogwaron mein
aaine aks ko taraste hain
suraton ke tilism-zaron mein
laghzish-e-pa-e-be-zabani tak
raushni kam hai rahguzaron mein
log apni talash ki KHatir
chhup gae justuju ke ghaaron mein
kis ko tul-e-kalam ki fursat
baat karte hain istiaron mein
maut ka intizar karte hain
mujrmon ki tarah qataron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.