jabr ke iKHtilat se aaya
jabr ke iḳhtilāt se aayā
sabr kin mushkilāt se aayā
bujh ga.ī aag to maiñ us ke qarīb
aur bhī ehtiyāt se aayā
ik sitāra mire muqaddar kā
dūsrī kā.enāt se aayā
ḳhāmushī ke hazārhā asbāb
bolnā ek baat se aayā
jo kisī samt se na aatā thā
ek din shash-jihāt se aayā
jabr ke iKHtilat se aaya
sabr kin mushkilat se aaya
bujh gai aag to main us ke qarib
aur bhi ehtiyat se aaya
ek sitara mere muqaddar ka
dusri kaenat se aaya
KHamushi ke hazarha asbab
bolna ek baat se aaya
jo kisi samt se na aata tha
ek din shash-jihat se aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.