jabriyon par kya sitam Dhati hai raat
jabriyoñ par kyā sitam Dhātī hai raat
dekhtā hai chāñd aur ḳhāmosh hai
ab ye malbūs-e-tarab bekār hai
dil baḌī muddat se hirmāñ-posh hai
jāgtī rātoñ se merī pūchh lo
ye sar-e-pur-shor bār-e-dosh hai
ehtimām-e-kāmrānī dekhnā
aarzū merī kafan-bar-dosh hai
ai matānat tujh ko bhī kuchh ilm hai
log kahte haiñ javānī josh hai
jabriyon par kya sitam Dhati hai raat
dekhta hai chand aur KHamosh hai
ab ye malbus-e-tarab bekar hai
dil baDi muddat se hirman-posh hai
jagti raaton se meri puchh lo
ye sar-e-pur-shor bar-e-dosh hai
ehtimam-e-kaamrani dekhna
aarzu meri kafan-bar-dosh hai
ai matanat tujh ko bhi kuchh ilm hai
log kahte hain jawani josh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.