jachte hon na jachte hon adakar pe aansu
jachte hoñ na jachte hoñ adākār pe aañsū
darkār magar haiñ mire kirdār pe aañsū
hai ġham bhī mire yaar kā gulshan hī ke jaisā
hai phuul pe shabnam sā vo ruḳhsār pe aañsū
tā'dād meñ ġham aa.eñ to kuchh baat banegī
nikleñge vagarna kahāñ do-chār pe aañsū
tasvīr se sīlan kī jagah Dhak jo rakhī hai
dikhte nahīñ mehmān ko dīvār pe aañsū
yārab yahāñ qīmat kahāñ itnī hai kisī kī
kyoñ koī gañvā.e tire sansār pe aañsū
jachte hon na jachte hon adakar pe aansu
darkar magar hain mere kirdar pe aansu
hai gham bhi mere yar ka gulshan hi ke jaisa
hai phul pe shabnam sa wo ruKHsar pe aansu
ta'dad mein gham aaen to kuchh baat banegi
niklenge wagarna kahan do-chaar pe aansu
taswir se silan ki jagah Dhak jo rakhi hai
dikhte nahin mehman ko diwar pe aansu
yarab yahan qimat kahan itni hai kisi ki
kyon koi ganwae tere sansar pe aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.