jafa ka tum kya jawaz doge qaza ki bandish tamam hogi
jafa ka tum kya jawaz doge qaza ki bandish tamam hogi
Waseem Hassan Mirchal
MORE BYWaseem Hassan Mirchal
jafā kā tum kyā javāz doge qazā kī bandish tamām hogī
maiñ sochtā huuñ du'ā hamārī ḳhudā se jab ham-kalām hogī
gumān ye thā safar kī kulfat farāġhatoñ par tamām kar luuñ
maqām-e-vahshat ke aate aate kise ḳhabar thī ki shaam hogī
tumhāre lahje ne chhīn lī hai shabāb se tarz-e-ḳhush-numā.ī
rahī-sahī shā'irī hai vā'iz tirī du'ā se harām hogī
mirī tarab-gāh se ye taaza jo jang chheḌī hai bijliyoñ ne
havā ke tevar batā rahe haiñ ye charḳh-e-gardūñ ke naam hogī
jalāl kī ‘āfiyat manā.e phire bhalā kab talak zamāna
ye pārsā.ī numā.ishī hai ye chaar jalvoñ meñ raam hogī
ye sadma-e-'uzr-o-hijr 'sāġhar' abhī nazar se pare hī rakhnā
abhī mohabbat na.ī na.ī hai abhī tahammul meñ ḳhaam hogī
jafa ka tum kya jawaz doge qaza ki bandish tamam hogi
main sochta hun du'a hamari KHuda se jab ham-kalam hogi
guman ye tha safar ki kulfat faraghaton par tamam kar lun
maqam-e-wahshat ke aate aate kise KHabar thi ki sham hogi
tumhaare lahje ne chhin li hai shabab se tarz-e-KHush-numai
rahi-sahi sha'iri hai wa'iz teri du'a se haram hogi
meri tarab-gah se ye taza jo jang chheDi hai bijliyon ne
hawa ke tewar bata rahe hain ye charKH-e-gardun ke nam hogi
jalal ki ‘afiyat manae phire bhala kab talak zamana
ye parsai numaishi hai ye chaar jalwon mein ram hogi
ye sadma-e-'uzr-o-hijr 'saghar' abhi nazar se pare hi rakhna
abhi mohabbat nai nai hai abhi tahammul mein KHam hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.