jafa ke baad sabhi KHatm silsile rakhna
jafā ke baad sabhī ḳhatm silsile rakhnā
sahar ke baad añdheroñ ke hausle rakhnā
bhale hī jā ke kahīñ manzileñ badal jaa.eñ
har ek moḌ pe ḳhushbū ke qāfile rakhnā
tumhārā ishq bhī kashmīr ban na jaa.e kahīñ
kabhī jo hal na hoñ kyoñ aise mas.ale rakhnā
tum apnī bātoñ se ḳhud pahle mutma.in to ho
badal sake nā kabhī aise faisle rakhnā
azīm-tar haiñ masā.il aziim logoñ ke
jo ho sake to zarā un se fāsle rakhnā
jafa ke baad sabhi KHatm silsile rakhna
sahar ke baad andheron ke hausle rakhna
bhale hi ja ke kahin manzilen badal jaen
har ek moD pe KHushbu ke qafile rakhna
tumhaara ishq bhi kashmir ban na jae kahin
kabhi jo hal na hon kyon aise masale rakhna
tum apni baaton se KHud pahle mutmain to ho
badal sake na kabhi aise faisle rakhna
azim-tar hain masail azim logon ke
jo ho sake to zara un se fasle rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.