jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega
jafā kī rasm-e-sitam kā rivāj badlegā
faqīh-e-shahr kā āḳhir mizāj badlegā
maiñ jāntā huuñ badaltī rutoñ kī ḳhushbū se
havā-e-dasht tirā imtizāj badlegā
jumūd-e-marg numūd asl zindagī hai to phir
jo kal na badlā yaqīnan vo aaj badlegā
ḳhulūs-o-mehr-o-vafā ḳhvāb ho ga.e jaise
na jaane kab ye nahūsat kā raaj badlegā
na.e shu.ūr ke charche haiñ chaar sū 'aḳhtar'
mujhe yaqīñ hai ye kohna samāj badlegā
jafa ki rasm-e-sitam ka riwaj badlega
faqih-e-shahr ka aaKHir mizaj badlega
main jaanta hun badalti ruton ki KHushbu se
hawa-e-dasht tera imtizaj badlega
jumud-e-marg numud asl zindagi hai to phir
jo kal na badla yaqinan wo aaj badlega
KHulus-o-mehr-o-wafa KHwab ho gae jaise
na jaane kab ye nahusat ka raj badlega
nae shuur ke charche hain chaar su 'aKHtar'
mujhe yaqin hai ye kohna samaj badlega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.