jafa par jaan dete hain sitam par tere marte hain
jafā par jaan dete haiñ sitam par tere marte haiñ
ye nākām-e-mohabbat sach to ye hai kaam karte haiñ
kaheñ kyā ham pe jo sadme guzarte haiñ guzarte haiñ
lagāyā jis ghaḌī dil us ghaḌī ko yaad karte haiñ
tamāsha jab se dekhā hai mire dil ke taḌapne kā
tamāsha hai ki vo apnī nazar se aap Darte haiñ
nahīñ aate na aa.eñ vo ga.e tāb-o-tavāñ jaa.eñ
tujhī par aaj ham ai be-qarārī sabr karte haiñ
galī kūchoñ meñ tum ne ishtihār-e-ishq phailā.e
ki uḌ-uḌ kar mire maktūb ke purze bikharte haiñ
adā be-sāḳhta un gesuoñ kī kuchh nirālī hai
banā.e se bigaḌte haiñ sañvāre se bikharte haiñ
na pūchho 'dāġh' ham se intizār-e-yār kī sūrat
ye āñkheñ jāntī haiñ ḳhuub jo naqshe guzarte haiñ
jafa par jaan dete hain sitam par tere marte hain
ye nakaam-e-mohabbat sach to ye hai kaam karte hain
kahen kya hum pe jo sadme guzarte hain guzarte hain
lagaya jis ghaDi dil us ghaDi ko yaad karte hain
tamasha jab se dekha hai mere dil ke taDapne ka
tamasha hai ki wo apni nazar se aap Darte hain
nahin aate na aaen wo gae tab-o-tawan jaen
tujhi par aaj hum ai be-qarari sabr karte hain
gali kuchon mein tum ne ishtihaar-e-ishq phailae
ki uD-uD kar mere maktub ke purze bikharte hain
ada be-saKHta un gesuon ki kuchh nirali hai
banae se bigaDte hain sanware se bikharte hain
na puchho 'dagh' hum se intizar-e-yar ki surat
ye aankhen jaanti hain KHub jo naqshe guzarte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.