jafa-shiar bhi ho koi mehrban bhi rahe
jafā-shi.ār bhī ho koī mehrbāñ bhī rahe
kisī ke lab pe duā.eñ bhī hoñ fuġhāñ bhī rahe
tirī ye dushman-e-jāñ ko duā jabīn-e-niyāz
ki tū rahe ye terā sañg-e-āstāñ bhī rahe
huzūr un ke kaheñ harf-e-mudda.ā to magar
ye dil bhī pahlū meñ ho muñh meñ ye zabāñ bhī rahe
idhar tabāhī-o-ġhārat-garī udhar ta.amīr
girī hai barq bhī ābād āshiyāñ bhī rahe
pukārā maut ko tañg aa ke zindagī se kabhī
tū mahv-e-justujū-e-umr-e-jāvedāñ bhī rahe
ġham-e-ma.āsh vatan meñ yahāñ ġham-e-ġhurbat
ḳharāb haal vahāñ bhī rahe yahāñ bhī rahe
rah-e-vafā meñ miTā de vo apnī hastī ko
jo chāhtā hai mirā hashr tak nishāñ bhī rahe
jafa-shiar bhi ho koi mehrban bhi rahe
kisi ke lab pe duaen bhi hon fughan bhi rahe
teri ye dushman-e-jaan ko dua jabin-e-niyaz
ki tu rahe ye tera sang-e-astan bhi rahe
huzur un ke kahen harf-e-muddaa to magar
ye dil bhi pahlu mein ho munh mein ye zaban bhi rahe
idhar tabahi-o-ghaarat-gari udhar tamir
giri hai barq bhi aabaad aashiyan bhi rahe
pukara maut ko tang aa ke zindagi se kabhi
tu mahw-e-justuju-e-umr-e-jawedan bhi rahe
gham-e-maash watan mein yahan gham-e-ghurbat
KHarab haal wahan bhi rahe yahan bhi rahe
rah-e-wafa mein miTa de wo apni hasti ko
jo chahta hai mera hashr tak nishan bhi rahe
- Book : R oodad-e-Watan (Pg. 218)
- Author : Shaad Bilgavi
- Publication : Shaad Publications (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.