jafakar aise na kal kal kare
jafākār aise na kal kal kare
adhūrī kahānī mukammal kare
kisī pe maiñ paiham karūñ shā'irī
koī yaad mujh ko musalsal kare
maiñ huuñ garmiyoñ kā satāyā huā
december se kah do na pāgal kare
yahāñ tishnagī kī shikāyat na ho
agar vo mujhe khul ke bādal kare
haqīqat meñ us se falak hai ḳhafā
zamīñ kā koī mas.ala hal kare
nasīm-e-bahārāñ ye gulshan hai kyā
ġhazal gā.ūñ to raqs jangal kare
jafakar aise na kal kal kare
adhuri kahani mukammal kare
kisi pe main paiham karun sha'iri
koi yaad mujh ko musalsal kare
main hun garmiyon ka sataya hua
december se kah do na pagal kare
yahan tishnagi ki shikayat na ho
agar wo mujhe khul ke baadal kare
haqiqat mein us se falak hai KHafa
zamin ka koi masala hal kare
nasim-e-bahaaran ye gulshan hai kya
ghazal gaun to raqs jangal kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.