jafaon ka unki karam dekhte hain
jafāoñ kā un kī karam dekhte haiñ
mazā dil lagāne kā ham dekhte haiñ
nazar se milā kar nigāheñ churānā
adā meñ ye un kī sitam dekhte haiñ
muqābil vo hote haiñ jab aa.ine ke
karishma nazākat kā ham dekhte haiñ
siyah un kī zulfeñ hasīñ un kā chehra
bahāroñ kā āñchal baham dekhte haiñ
sañvar kar chaman meñ vo aa.e haiñ 'bāsir'
bahāreñ ye qudrat kī ham dekhte haiñ
jafaon ka un ki karam dekhte hain
maza dil lagane ka hum dekhte hain
nazar se mila kar nigahen churana
ada mein ye un ki sitam dekhte hain
muqabil wo hote hain jab aaine ke
karishma nazakat ka hum dekhte hain
siyah un ki zulfen hasin un ka chehra
bahaaron ka aanchal baham dekhte hain
sanwar kar chaman mein wo aae hain 'basir'
bahaaren ye qudrat ki hum dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.