jag ke hain haalat kaThin
jag ke haiñ hālāt kaThin
mat rakhiye jazbāt kaThin
sūkhe haiñ tālāb nadī
aa.ī hai barsāt kaThin
chain se bachche so.eñge
guzar ga.e auqāt kaThin
holī ho yā eid kā din
hotī hai ik baat kaThin
munsif mujrim qātil chor
sab ke haiñ barkāt kaThin
har shab tauba karte haiñ
jin kī haiñ ādāt kaThin
'shamsī' taare gin gin ke
kaTte haiñ lamhāt kaThin
jag ke hain haalat kaThin
mat rakhiye jazbaat kaThin
sukhe hain talab nadi
aai hai barsat kaThin
chain se bachche soenge
guzar gae auqat kaThin
holi ho ya eid ka din
hoti hai ek baat kaThin
munsif mujrim qatil chor
sab ke hain barkat kaThin
har shab tauba karte hain
jin ki hain aadat kaThin
'shamsi' tare gin gin ke
kaTte hain lamhat kaThin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.