jag se chhup kar ro lena
jag se chhup kar ro lenā
nain apne phir dho lenā
sukh meñ lenā sab ko sang
dukh apnā ḳhud Dho lenā
tanhā kaTe kab jīvan-path
saath kisī ke ho lenā
aañsū nahīñ motī haiñ ye
in ke giit piro lenā
poñchh ke auroñ ke aañsū
āñchal apnā bhigo lenā
ronā nahīñ nasīb jinheñ
un ke liye bhī ro lenā
jag se chhup kar ro lena
nain apne phir dho lena
sukh mein lena sab ko sang
dukh apna KHud Dho lena
tanha kaTe kab jiwan-path
sath kisi ke ho lena
aansu nahin moti hain ye
in ke git piro lena
ponchh ke auron ke aansu
aanchal apna bhigo lena
rona nahin nasib jinhen
un ke liye bhi ro lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.