jagah jagah pe KHushi ko shahid karne laga
jagah jagah pe ḳhushī ko shahīd karne lagā
maiñ apne haq meñ tirā ġham mufīd karne lagā
tire firāq meñ āñkhoñ ko vārne ke baa'd
tamām dard mirā dil kashīd karne lagā
tumheñ to bhiiḌ meñ ehsās hī nahīñ is kā
tumhāre baa'd akele jo iid karne lagā
tumhāre jaisā jo bāzār se gayā to phir
hamāre jaisā ḳhasāre ḳharīd karne lagā
ye tere hijr meñ dekhā hai dil kā pāgal-pan
bichhaḌ ke tujh se mohabbat mazīd karne lagā
jagah jagah pe KHushi ko shahid karne laga
main apne haq mein tera gham mufid karne laga
tere firaq mein aankhon ko warne ke ba'd
tamam dard mera dil kashid karne laga
tumhein to bhiD mein ehsas hi nahin is ka
tumhaare ba'd akele jo id karne laga
tumhaare jaisa jo bazar se gaya to phir
hamare jaisa KHasare KHarid karne laga
ye tere hijr mein dekha hai dil ka pagal-pan
bichhaD ke tujh se mohabbat mazid karne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.