jagah phulon ki rakhte hain ghana saya banate hain
jagah phūloñ kī rakhte haiñ ghanā saaya banāte haiñ
chalo apne ḳhayālī shahr kā naqsha banāte haiñ
abhī to chaak par haiñ kyā kaheñ ham apne baare meñ
na jaane dast-e-kūza-gar hameñ kaisā banāte haiñ
banānī hai hameñ tasvīr-e-dil kāġhaz pe lekin ham
kabhī dariyā banāte haiñ kabhī sahrā banāte haiñ
ġhazal us ke liye kahte haiñ lekin dar-haqīqat ham
ghane jañgal meñ kirnoñ ke liye rasta banāte haiñ
kabhī bhūle se bhī us kī taraf mat dekhnā 'az.har'
zarā sī baat kā ye log afsāna banāte haiñ
jagah phulon ki rakhte hain ghana saya banate hain
chalo apne KHayali shahr ka naqsha banate hain
abhi to chaak par hain kya kahen hum apne bare mein
na jaane dast-e-kuza-gar hamein kaisa banate hain
banani hai hamein taswir-e-dil kaghaz pe lekin hum
kabhi dariya banate hain kabhi sahra banate hain
ghazal us ke liye kahte hain lekin dar-haqiqat hum
ghane jangal mein kirnon ke liye rasta banate hain
kabhi bhule se bhi us ki taraf mat dekhna 'azhar'
zara si baat ka ye log afsana banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.