jagmagate hue naginon ne
jagmagāte hue nagīnoñ ne
dard paidā kiyā hasīnoñ ne
merī bastī ko kar diyā vīrāñ
shahr ābād ke makīnoñ ne
saaf niklā huuñ kū-e-jānāñ se
maar Daalā tamāsh-bīnoñ ne
kitne sailāb duub jaane par
ġharq-e-dariyā kiye safīnoñ ne
hasratoñ ke vaqār ko toḌā
bazm-e-ādāb ke qarīnoñ ne
'azmat-e-dar 'azīm hai lekin
naam paidā kiyā jabīnoñ ne
āzmā.ish ke vāste 'qaisar'
aa.ina le liyā hasīnoñ ne
jagmagate hue naginon ne
dard paida kiya hasinon ne
meri basti ko kar diya viran
shahr aabaad ke makinon ne
saf nikla hun ku-e-jaanan se
mar Dala tamash-binon ne
kitne sailab dub jaane par
gharq-e-dariya kiye safinon ne
hasraton ke waqar ko toDa
bazm-e-adab ke qarinon ne
'azmat-e-dar 'azim hai lekin
nam paida kiya jabinon ne
aazmaish ke waste 'qaisar'
aaina le liya hasinon ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.