jagmagati KHushi mein Dubi hai
jagmagātī ḳhushī meñ Duubī hai
zindagī raushnī meñ Duubī hai
vā'da kar ke jo us ko bhuul gayā
ek laḌkī usī meñ Duubī hai
saḳht sāhil ko kyā pata is kā
mauj kyoñ tishnagī meñ Duubī hai
chārāgar dekh kar batā mujh ko
nabz kyā vāqa'ī meñ Duubī hai
ḳhud-numā.ī meñ sab mulavvis haiñ
ik anā har kisī meñ Duubī hai
chāñd badlī se aa gayā bāhar
kul fazā chāñdnī meñ Duubī hai
kaun dekhe idhar udhar 'gauhar'
bazm to 'āshiqī meñ Duubī hai
jagmagati KHushi mein Dubi hai
zindagi raushni mein Dubi hai
wa'da kar ke jo us ko bhul gaya
ek laDki usi mein Dubi hai
saKHt sahil ko kya pata is ka
mauj kyon tishnagi mein Dubi hai
chaaragar dekh kar bata mujh ko
nabz kya waqa'i mein Dubi hai
KHud-numai mein sab mulawwis hain
ek ana har kisi mein Dubi hai
chand badli se aa gaya bahar
kul faza chandni mein Dubi hai
kaun dekhe idhar udhar 'gauhar'
bazm to 'ashiqi mein Dubi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.