jahan ashk-e-hasrat rawan chhoD aae
jahāñ ashk-e-hasrat ravāñ chhoḌ aa.e
mohabbat vahāñ nīm-jāñ chhoḌ aa.e
hamāre hī ḳhuuñ kī guloñ meñ hai surḳhī
chaman-dar-chaman dāstāñ chhoḌ aa.e
qafas kī dil-āveziyāñ ham se pūchho
qafas ke liye āshiyāñ chhoḌ aa.e
bharam khul na jaa.e tire āstāñ kā
tirā āstāñ mehrbāñ chhoḌ aa.e
musāfir na bhaTkegā raste se koī
ki har gaam par ik nishāñ chhoḌ aa.e
dhuāñ uTh rahā hai jo sehn-e-chaman se
dhuāñ hai kahāñ ham fuġhāñ chhoḌ aa.e
bharī anjuman meñ ham aa.e ġhazal-ḳhvāñ
bharī anjuman nauha-ḳhvāñ chhoḌ aa.e
unhīñ vādiyoñ kī rulātī haiñ yādeñ
jinheñ 'baḳht' ham gul-fishāñ chhoḌ aa.e
jahan ashk-e-hasrat rawan chhoD aae
mohabbat wahan nim-jaan chhoD aae
hamare hi KHun ki gulon mein hai surKHi
chaman-dar-chaman dastan chhoD aae
qafas ki dil-aweziyan hum se puchho
qafas ke liye aashiyan chhoD aae
bharam khul na jae tere aastan ka
tera aastan mehrban chhoD aae
musafir na bhaTkega raste se koi
ki har gam par ek nishan chhoD aae
dhuan uTh raha hai jo sehn-e-chaman se
dhuan hai kahan hum fughan chhoD aae
bhari anjuman mein hum aae ghazal-KHwan
bhari anjuman nauha-KHwan chhoD aae
unhin wadiyon ki rulati hain yaaden
jinhen 'baKHt' hum gul-fishan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.