jahan bachpan guzara tha wo ghar pahchante hain
jahāñ bachpan guzārā thā vo ghar pahchānte haiñ
abhī ham shahr kī har rahguzar pahchānte haiñ
parinde jis taraf jaa.eñ palaT aate haiñ shab ko
vo apnā āshiyāñ apnā shajar pahchānte haiñ
abhī galiyāñ nahīñ bhūleñ mire qadmoñ kī aahaT
mujhe is shahr ke dar-o-dīvār pahchānte haiñ
kabhī mere havāle se rahī pahchān jin kī
mujhe vo paas aa kar soch kar pahchānte haiñ
nahīñ pahchānte kuchh log duniyā meñ to kyā hai
mire fan ko sabhī ahl-e-nazar pahchānte haiñ
jo āñkheñ rauzanoñ se jhāñktī thiiñ ab nahīñ haiñ
gharoñ ke band darvāze magar pahchānte haiñ
'munavvar' ham ne yuuñ is shahr kī chīzoñ ko dekhā
musāfir jaise sāmān-e-safar pahchānte haiñ
jahan bachpan guzara tha wo ghar pahchante hain
abhi hum shahr ki har rahguzar pahchante hain
parinde jis taraf jaen palaT aate hain shab ko
wo apna aashiyan apna shajar pahchante hain
abhi galiyan nahin bhulen mere qadmon ki aahaT
mujhe is shahr ke dar-o-diwar pahchante hain
kabhi mere hawale se rahi pahchan jin ki
mujhe wo pas aa kar soch kar pahchante hain
nahin pahchante kuchh log duniya mein to kya hai
mere fan ko sabhi ahl-e-nazar pahchante hain
jo aankhen rauzanon se jhankti thin ab nahin hain
gharon ke band darwaze magar pahchante hain
'munawwar' hum ne yun is shahr ki chizon ko dekha
musafir jaise saman-e-safar pahchante hain
- Book : Gazal ai Gazal (Kulliyat-e-Gazal) (Pg. 130)
- Author : Dr. Munawar Hashmi
- Publication : Duniya-e-Urdu Publications, Islam abad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.