jahan bhi zara si mile raushni dil
jahāñ bhī zarā sī mile raushnī dil
ḳhamoshī udāsī miTā tīrgī dil
purāne darīche sabhī khol baiThā
na ban jaa.e mushkil tujhe tāzgī dil
ka.ī log apne parā.e hue haiñ
hameñ āzmā.e hai phir zindagī dil
ye gardish kā aalam hai do-chār din bas
nahīñ rahtā koī hamesha dukhī-dil
mujhe mushkiloñ ne bahut āzmāyā
khaḌī apne dam par maiñ phir bhī rahī dil
jahan bhi zara si mile raushni dil
KHamoshi udasi miTa tirgi dil
purane dariche sabhi khol baiTha
na ban jae mushkil tujhe tazgi dil
kai log apne parae hue hain
hamein aazmae hai phir zindagi dil
ye gardish ka aalam hai do-chaar din bas
nahin rahta koi hamesha dukhi-dil
mujhe mushkilon ne bahut aazmaya
khaDi apne dam par main phir bhi rahi dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.