jahan bhi zulm-o-takabbur misal hota hai
jahāñ bhī zulm-o-takabbur misāl hotā hai
urūj-e-ādam-e-ḳhākī zavāl hotā hai
kisī kā dil jo dukhā.e kisī ko tohmat de
ba-der jald burā us kā haal hotā hai
ho ghaav ḳhanjar-o-shamshīr kā to bhar jaa.e
zabāñ kā zaḳhm kahīñ indimāl hotā hai
tire mizāj ke mausam se kyā shikāyat ho
zarā sī der meñ aksar bahāl hotā hai
har ek yaad lipaTtī hai aa ke pairoñ se
tumhāre shahr meñ apnā ye haal hotā hai
vo zikr karte haiñ aksar ga.e marātib kā
vo aaj kyā haiñ magar ye savāl hotā hai
khaTak rahī hai 'ġhazal' aaj un ko ḳhāmoshī
jo sach kaheñge to sunñā muhāl hotā hai
jahan bhi zulm-o-takabbur misal hota hai
uruj-e-adam-e-KHaki zawal hota hai
kisi ka dil jo dukhae kisi ko tohmat de
ba-der jald bura us ka haal hota hai
ho ghaw KHanjar-o-shamshir ka to bhar jae
zaban ka zaKHm kahin indimal hota hai
tere mizaj ke mausam se kya shikayat ho
zara si der mein aksar bahaal hota hai
har ek yaad lipaTti hai aa ke pairon se
tumhaare shahr mein apna ye haal hota hai
wo zikr karte hain aksar gae maraatib ka
wo aaj kya hain magar ye sawal hota hai
khaTak rahi hai 'ghazal' aaj un ko KHamoshi
jo sach kahenge to sunna muhaal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.