jahāñ bichhḌe the agar log vahāñ mil jaate
lauTne vāloñ ko phir ghar ke nishāñ mil jaate
dil-navardoñ kā rahā marhaloñ se ye shikva
jahāñ ummīd thī ai kaash vahāñ mil jaate
mil gayā tum ko tumhārā jahāñ ham ko apnā
tum hameñ milte to phir donoñ jahāñ mil jaate
ham ne piirī meñ phir is dil ko khañgālā hī nahīñ
sharm aatī agar ehsās-e-javāñ mil jaate
ham se milne meñ tumheñ aisī bhī mushkil kyā thī
ham to shā.ir haiñ tumheñ zer-e-zabāñ mil jaate
jahan bichhDe the agar log wahan mil jate
lauTne walon ko phir ghar ke nishan mil jate
dil-nawardon ka raha marhalon se ye shikwa
jahan ummid thi ai kash wahan mil jate
mil gaya tum ko tumhaara jahan hum ko apna
tum hamein milte to phir donon jahan mil jate
hum ne piri mein phir is dil ko khangala hi nahin
sharm aati agar ehsas-e-jawan mil jate
hum se milne mein tumhein aisi bhi mushkil kya thi
hum to shair hain tumhein zer-e-zaban mil jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.