jahan chaukhaT hai wan zina tha pahle
jahāñ chaukhaT hai vaañ ziina thā pahle
mirā mehmān nā-bīnā thā pahle
mohabbat kī muravvaj dāstāñ meñ
kahīñ marnā kahīñ jiinā thā pahle
maiñ dīvāroñ se bhī sach boltā thā
mire kamre meñ ā.īna thā pahle
kisī ruḳhsār kā til bin chukā hai
hamāre dil meñ jo kiina thā pahle
jise ab tohfatan lauTā rahe ho
mire ajdād se chhīnā thā pahle
jahan chaukhaT hai wan zina tha pahle
mera mehman na-bina tha pahle
mohabbat ki murawwaj dastan mein
kahin marna kahin jina tha pahle
main diwaron se bhi sach bolta tha
mere kamre mein aaina tha pahle
kisi ruKHsar ka til bin chuka hai
hamare dil mein jo kina tha pahle
jise ab tohfatan lauTa rahe ho
mere ajdad se chhina tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.