jahan chheD de koi un ka fasana
jahāñ chheḌ de koī un kā fasāna
hama-rang lafzoñ kī jannat sajānā
tumhāre hamāre hī dam se hai raushan
dil-o-jāñ kī rangīniyoñ kā zamāna
ye kaisī adā hai ba-tarz-e-mohabbat
kabhī yaad rakhnā kabhī bhuul jaanā
hameñ chāhiye sirf terā tasavvur
agarche ye duniyā hai tasvīr-kHāna
har ik tere husn-e-tasavvur kā shaidā
ho adnā-o-a.alā ki nādān-o-dānā
tulū-e-sahar hai ki tum sāmne ho
ye kundan sā mukhḌā ye gesū ye shāna
tire daur ne tujh se māñgī mohabbat
mohabbat ne baḳhshā tujhe muskurānā
jahan chheD de koi un ka fasana
hama-rang lafzon ki jannat sajaana
tumhaare hamare hi dam se hai raushan
dil-o-jaan ki ranginiyon ka zamana
ye kaisi ada hai ba-tarz-e-mohabbat
kabhi yaad rakhna kabhi bhul jaana
hamein chahiye sirf tera tasawwur
agarche ye duniya hai taswir-kHana
har ek tere husn-e-tasawwur ka shaida
ho adna-o-ala ki nadan-o-dana
tulu-e-sahar hai ki tum samne ho
ye kundan sa mukhDa ye gesu ye shana
tere daur ne tujh se mangi mohabbat
mohabbat ne baKHsha tujhe muskurana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.