jahan chhu ke dekhun wahin par KHala hai
jahāñ chhū ke dekhūñ vahīñ par ḳhalā hai
havā meñ havā ke sivā aur kyā hai
tire ba.ad ye haal hai shahr-e-dil kā
na bārish na tūfāñ na bād-e-sabā hai
likhā hai jo nazroñ ne lauh-e-nazar par
vo dil ke sivā aur kis ne paḌhā hai
dhañsakne lagā hai vo kamra ki jis meñ
parindoñ kā chhoḌā huā ghoñsla hai
khulā hai kahīñ ik darīcha abhī bhī
ki jis meñ koī ḳhūbsūrat khaḌā hai
mirā dard merā hai us kā usī kā
to kyoñ ġham-gusārī kā ye silsila hai
jahan chhu ke dekhun wahin par KHala hai
hawa mein hawa ke siwa aur kya hai
tere baad ye haal hai shahr-e-dil ka
na barish na tufan na baad-e-saba hai
likha hai jo nazron ne lauh-e-nazar par
wo dil ke siwa aur kis ne paDha hai
dhansakne laga hai wo kamra ki jis mein
parindon ka chhoDa hua ghonsla hai
khula hai kahin ek daricha abhi bhi
ki jis mein koi KHubsurat khaDa hai
mera dard mera hai us ka usi ka
to kyon gham-gusari ka ye silsila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.