jahan-dar jitni bhi sazish karega
jahāñ-dār jitnī bhī sāzish karegā
ḳhudā ham pe rahmat kī bārish karegā
ye shīshe kī āñkheñ ye patthar ke chehre
mirā dard kis se guzārish karegā
kisī kā jo hamdard hogā zamīñ par
bahut gar kare to sifārish karegā
ajab chiiz hai ye hunar kā ḳhazāna
na jis ko mile vo numā.ish karegā
ġhazal jo bhī dekhegā 'sultān' sāhab
kahānī kī vo kyā satā.ish karegā
jahan-dar jitni bhi sazish karega
KHuda hum pe rahmat ki barish karega
ye shishe ki aankhen ye patthar ke chehre
mera dard kis se guzarish karega
kisi ka jo hamdard hoga zamin par
bahut gar kare to sifarish karega
ajab chiz hai ye hunar ka KHazana
na jis ko mile wo numaish karega
ghazal jo bhi dekhega 'sultan' sahab
kahani ki wo kya sataish karega
- Book : Aiwan (Pg. 50)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.