jahan-dar pe war chalne laga
jahāñ-dār pe vaar chalne lagā
ġhulāmoñ kā darbār chalne lagā
azal se kisī shai meñ gardish na thī
chalā maiñ to sansār chalne lagā
ḳhudā rakkhe america-o-rūs ko
miyāñ apnā aḳhbār chalne lagā
tabassum takallum javāñ ho ga.e
mubārak ho ghar-bār chalne lagā
abhī dhuup 'ḳhālid' pe aa.ī na thī
ki dīvār dīvār chalne lagā
jahan-dar pe war chalne laga
ghulamon ka darbar chalne laga
azal se kisi shai mein gardish na thi
chala main to sansar chalne laga
KHuda rakkhe america-o-rus ko
miyan apna aKHbar chalne laga
tabassum takallum jawan ho gae
mubarak ho ghar-bar chalne laga
abhi dhup 'KHalid' pe aai na thi
ki diwar diwar chalne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.