jahan dekhoge apna chhoDta hai
jahāñ dekhoge apnā chhoḌtā hai
laḌāne ko vo shosha chhoḌtā hai
chalā jaatā hai qatl-o-ḳhūn kar ke
magar bahtā vo dariyā chhoḌtā hai
vo apne khel meñ rahtā hai zinda
kuchh aisā hī piyāda chhoḌtā hai
ki us kī pārsā.ī bhī to dekho
mujhe karke jo rusvā chhoḌtā hai
samundar ko nahīñ hai muaaf karnā
gunāhoñ kā pulanda chhoḌtā hai
jahan dekhoge apna chhoDta hai
laDane ko wo shosha chhoDta hai
chala jata hai qatl-o-KHun kar ke
magar bahta wo dariya chhoDta hai
wo apne khel mein rahta hai zinda
kuchh aisa hi piyaada chhoDta hai
ki us ki parsai bhi to dekho
mujhe karke jo ruswa chhoDta hai
samundar ko nahin hai muaf karna
gunahon ka pulanda chhoDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.