jahan dekhte hain jidhar dekhte hain
jahāñ dekhte haiñ jidhar dekhte haiñ
faqat ik fareb-e-nazar dekhte haiñ
ye sayyād ko kyoñ pasand aa.e itnā
mire ham-navā mere par dekhte haiñ
ishāra jo paa.eñ to tum ko bhī dekheñ
abhī to tumhārī nazar dekhte haiñ
nazar-bāz ban kar shamīm us galī meñ
tamāshā-e-ahl-e-nazar dekhte haiñ
jahan dekhte hain jidhar dekhte hain
faqat ek fareb-e-nazar dekhte hain
ye sayyaad ko kyon pasand aae itna
mere ham-nawa mere par dekhte hain
ishaara jo paen to tum ko bhi dekhen
abhi to tumhaari nazar dekhte hain
nazar-baz ban kar shamim us gali mein
tamasha-e-ahl-e-nazar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.