jahan-e-am ko yaksar fareb deta hai
jahān-e-ām ko yaksar fareb detā hai
vo ġham-zada ho to hañs kar fareb detā hai
kuchh us kī tarz-e-adā bhī kamāl hai kuchh vo
nazar nazar se milā kar fareb detā hai
maiñ aise māhir-e-fan kā murīd huuñ jo mujhe
mire gumān se baḌh kar fareb detā hai
miTā ga.ī hai mujhe ik nigāh-e-nāz to kyā
baḌe-baḌoñ ko ye manzar fareb detā hai
ham ahl-e-dil bhī isī par yaqīn karte haiñ
hameñ ye dil jo ki aksar fareb detā hai
maiñ is liye bhī tirā ehtirām kartā huuñ
tū mujh ko mujh se bhī behtar fareb detā hai
'amar' ye us kā karam hai ki vo ik ahl-e-kamāl
agarche de bhī to kah kar fareb detā hai
jahan-e-am ko yaksar fareb deta hai
wo gham-zada ho to hans kar fareb deta hai
kuchh us ki tarz-e-ada bhi kamal hai kuchh wo
nazar nazar se mila kar fareb deta hai
main aise mahir-e-fan ka murid hun jo mujhe
mere guman se baDh kar fareb deta hai
miTa gai hai mujhe ek nigah-e-naz to kya
baDe-baDon ko ye manzar fareb deta hai
hum ahl-e-dil bhi isi par yaqin karte hain
hamein ye dil jo ki aksar fareb deta hai
main is liye bhi tera ehtiram karta hun
tu mujh ko mujh se bhi behtar fareb deta hai
'amar' ye us ka karam hai ki wo ek ahl-e-kamal
agarche de bhi to kah kar fareb deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.