jahan-e-dard-o-gham hai aur main hun
jahān-e-dard-o-ġham hai aur maiñ huuñ
tirā naqsh-e-qadam hai aur maiñ huuñ
kisī kī aañkh nam hai aur maiñ huuñ
vufūr-e-shauq kam hai aur maiñ huuñ
mujhe hai daulat-e-kaunain hāsil
mire rab kā karam hai aur maiñ huuñ
maiñ apne aap ko pahchāntā huuñ
mirā apnā bharam hai aur maiñ huuñ
yahī kyā kam hai duniyā-e-vafā meñ
mujhe ehsās-e-ġham hai aur maiñ huuñ
kisī kī yaad kā ehsāñ hai mujh par
sukūn-e-dil baham hai aur maiñ huuñ
mujhe 'mahmūd' koī Dar nahīñ hai
mirā apnā qalam hai aur maiñ huuñ
jahan-e-dard-o-gham hai aur main hun
tera naqsh-e-qadam hai aur main hun
kisi ki aankh nam hai aur main hun
wufur-e-shauq kam hai aur main hun
mujhe hai daulat-e-kaunain hasil
mere rab ka karam hai aur main hun
main apne aap ko pahchanta hun
mera apna bharam hai aur main hun
yahi kya kam hai duniya-e-wafa mein
mujhe ehsas-e-gham hai aur main hun
kisi ki yaad ka ehsan hai mujh par
sukun-e-dil baham hai aur main hun
mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai
mera apna qalam hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.