jahan-e-girya jo aadam ko KHuld ka dukh hai
jahān-e-girya jo aadam ko ḳhuld kā dukh hai
isī lihāz se dhartī havā ḳhalā dukh hai
kabhī firāq kī rātoñ meñ aa.ina dekhūñ
to ḳhud se kahtā huuñ dekho ye aa.ina dukh hai
shadīd ronā to andar kā habs ghuTnā hai
khichāo hañsne se paḌtā hai qahqaha dukh hai
zamīn gol hai merī vafāt ne kholā
ki dost ammī se kahte the ye baḌā dukh hai
maiñ bāñjh peḌ huuñ saaya na phal mire uupar
mujhe samay de kabhī pūchh mujh ko kyā dukh hai
tamām ḳhushiyāñ ikaTThī thiiñ ek dukh ke gird
unheñ dhakel ke chīḳhā haTo mirā dukh hai
maiñ ḳhud se jañg meñ haarā huā sipāhī huuñ
ki jis kā rābta number atā-patā dukh hai
jahan-e-girya jo aadam ko KHuld ka dukh hai
isi lihaz se dharti hawa KHala dukh hai
kabhi firaq ki raaton mein aaina dekhun
to KHud se kahta hun dekho ye aaina dukh hai
shadid rona to andar ka habs ghuTna hai
khichao hansne se paDta hai qahqaha dukh hai
zamin gol hai meri wafat ne khola
ki dost ammi se kahte the ye baDa dukh hai
main banjh peD hun saya na phal mere upar
mujhe samay de kabhi puchh mujh ko kya dukh hai
tamam KHushiyan ikaTThi thin ek dukh ke gird
unhen dhakel ke chiKHa haTo mera dukh hai
main KHud se jang mein haara hua sipahi hun
ki jis ka rabta number ata-pata dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.