Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue

Adeel Zaidi

jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue

Adeel Zaidi

MORE BYAdeel Zaidi

    jahān-e-ilm bāb-e-nisāb hote hue

    bhaTak rahā huuñ maiñ ahl-e-kitāb hote hue

    kuchh aur bhī hai ḳharābī dūsrī sūrat

    maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ ḳharāb hote hue

    jo kaam dil ko mire fitratan nahīñ bhāte

    unheñ maiñ kar nahīñ paatā savāb hote hue

    mire dam se hai jo kuchh bhī is jahān meñ hai

    maiñ kaise ḳhud ko bhulā duuñ janāb hote hue

    'adīl' jo the in āñkhoñ raushnī kal tak

    vo chehre dekh rahā huuñ maiñ ḳhvāb hote hue

    jahan-e-ilm ka bab-e-nisab hote hue

    bhaTak raha hun main ahl-e-kitab hote hue

    kuchh aur bhi hai KHarabi ki dusri surat

    main KHud ko dekh raha hun KHarab hote hue

    jo kaam dil ko mere fitratan nahin bhate

    unhen main kar nahin pata sawab hote hue

    mere hi dam se hai jo kuchh bhi is jahan mein hai

    main kaise KHud ko bhula dun janab hote hue

    'adil' jo the in aankhon ki raushni kal tak

    wo chehre dekh raha hun main KHwab hote hue

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now