jahan-e-ishq ab suna paDa hai
jahān-e-ishq ab suunā paḌā hai
tumheñ pā kar ke bhī khonā paḌā hai
udāsī ho ga.ī mujh par musallat
tumheñ bhī rāt-din ronā paḌā hai
paḌā rahtā thā ik kone meñ har dam
magar ab mujh meñ hī konā paḌā hai
bhagāne ke liye ḳhvāboñ se tum ko
tasavvur meñ tumheñ chhūnā paḌā hai
yahī kyā kam qayāmat hai mirī jaañ
tumheñ chūme binā sonā paḌā hai
maiñ do se ek phir zero huā huuñ
magar ye ishq kyoñ duunā paḌā hai
tire dāman ke dāġhoñ ko mujhe jaañ
jigar ke ḳhuuñ se kyoñ dhonā paḌā hai
ġhamoñ kā bojh thā yaksāñ sabhī par
magar 'kāshif' ko hī Dhonā paḌā hai
jahan-e-ishq ab suna paDa hai
tumhein pa kar ke bhi khona paDa hai
udasi ho gai mujh par musallat
tumhein bhi raat-din rona paDa hai
paDa rahta tha ek kone mein har dam
magar ab mujh mein hi kona paDa hai
bhagane ke liye KHwabon se tum ko
tasawwur mein tumhein chhuna paDa hai
yahi kya kam qayamat hai meri jaan
tumhein chume bina sona paDa hai
main do se ek phir zero hua hun
magar ye ishq kyon duna paDa hai
tere daman ke daghon ko mujhe jaan
jigar ke KHun se kyon dhona paDa hai
ghamon ka bojh tha yaksan sabhi par
magar 'kashif' ko hi Dhona paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.