Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jahan-e-KHair-o-shar se uTh ke kya jaane kahan jate

Syed Manzar Hasan Desnavi

jahan-e-KHair-o-shar se uTh ke kya jaane kahan jate

Syed Manzar Hasan Desnavi

MORE BYSyed Manzar Hasan Desnavi

    jahān-e-ḳhair-o-shar se uTh ke kyā jaane kahāñ jaate

    koī jannat agar hotī to farzāne kahāñ jaate

    kashish dasht-e-junūñ ain fitrat sahī lekin

    dam-e-arz-e-tamanna tere dīvāne kahāñ jaate

    ye bazm-e-mai nahīñ hai balki ik ā.īna-ḳhāna hai

    use tum chhoḌ kar zulfoñ ko suljhāne kahāñ jaate

    ḳhalish jab aarzū miT nahīñ saktī to aise meñ

    sukūn-e-qalb ḳhātir ye dīvāne kahāñ jaate

    nigāh-e-mast se be-ḳhud kiyā ham ko magar sochā

    hamāre haath se chhuT kar ye paimāne kahāñ jaate

    nahīñ ma.alūm kis ke sang-e-dar par hai paḌā 'manzar'

    janāb-e-shaiḳh farmā.eñ ki samjhāne kahāñ jaate

    jahan-e-KHair-o-shar se uTh ke kya jaane kahan jate

    koi jannat agar hoti to farzane kahan jate

    kashish dasht-e-junun ki ain fitrat hi sahi lekin

    dam-e-arz-e-tamanna tere diwane kahan jate

    ye bazm-e-mai nahin hai balki ek aaina-KHana hai

    use tum chhoD kar zulfon ko suljhane kahan jate

    KHalish jab aarzu ki miT nahin sakti to aise mein

    sukun-e-qalb ki KHatir ye diwane kahan jate

    nigah-e-mast se be-KHud kiya hum ko magar socha

    hamare hath se chhuT kar ye paimane kahan jate

    nahin malum kis ke sang-e-dar par hai paDa 'manzar'

    janab-e-shaiKH farmaen ki samjhane kahan jate

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now