-jahan-e-KHwab-e-mehrban ki KHair ho
-jahān-e-ḳhvāb-e-mehrbāñ kī ḳhair ho
mire zamīn-o-āsmāñ kī ḳhair ho
havā kā rañg Dhañg hī kuchh aur hai
duā karo ki āshiyāñ kī ḳhair ho
vo chāhtā hai apnī ik salāmtī
maiñ chāhtā huuñ kārvāñ kī ḳhair ho
jahāñ hai tīrgī vahāñ ho raushnī
jahāñ hai raushnī vahāñ kī ḳhair ho
ye jazb-o-kaif yuuñ hī mustaqil raheñ
duā hai dil ke āstāñ kī ḳhair ho
-jahan-e-KHwab-e-mehrban ki KHair ho
mere zamin-o-asman ki KHair ho
hawa ka rang Dhang hi kuchh aur hai
dua karo ki aashiyan ki KHair ho
wo chahta hai apni ek salamti
main chahta hun karwan ki KHair ho
jahan hai tirgi wahan ho raushni
jahan hai raushni wahan ki KHair ho
ye jazb-o-kaif yun hi mustaqil rahen
dua hai dil ke aastan ki KHair ho
- Book : Paniyon Se Alag (Pg. 39)
- Author : Shamsheer Haider
- Publication : Rumail House of Publication (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.