jahan-e-rang-o-bu mein kya nahin hai
jahān-e-rang-o-bū meñ kyā nahīñ hai
magar koī kahīñ tujh sā nahīñ hai
bahut phailā hai ye shahr-e-tamannā
yahāñ mumkin sukūñ paanā nahīñ hai
hañse jo ābla-pā.ī pe terī
vo terā ham-safar terā nahīñ hai
na itrā is qadar bād-e-ḳhizāñ tū
koī pattā abhī sūkhā nahīñ hai
nahīñ koī nahīñ hai mere jaisā
mirā saaya bhī mujh jaisā nahīñ hai
jise sadiyoñ se ḳhūn-e-dil se sīñchā
vo gulshan aaj bhī apnā nahīñ hai
vo jis se 'nāz' tum ghabrā rahe ho
koī aaseb yā saayā nahīñ hai
jahan-e-rang-o-bu mein kya nahin hai
magar koi kahin tujh sa nahin hai
bahut phaila hai ye shahr-e-tamanna
yahan mumkin sukun pana nahin hai
hanse jo aabla-pai pe teri
wo tera ham-safar tera nahin hai
na itra is qadar baad-e-KHizan tu
koi patta abhi sukha nahin hai
nahin koi nahin hai mere jaisa
mera saya bhi mujh jaisa nahin hai
jise sadiyon se KHun-e-dil se sincha
wo gulshan aaj bhi apna nahin hai
wo jis se 'naz' tum ghabra rahe ho
koi aaseb ya saya nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.