jahan-e-reg tera aab dekhne ke liye
jahān-e-reg tirā aab dekhne ke liye
milī hai aañkh mujhe ḳhvāb dekhne ke liye
gahan lagā de agar zulf se tū chehre par
maiñ aañkh phoḌ luuñ mahtāb dekhne ke liye
ye kyā sitam hai ki aatā huuñ ek sahrā se
zarā sī ghaas ko shādāb dekhne ke liye
uThe the shauq se apnā hī chain kho baiThe
vo mere haal ko betāb dekhne ke liye
lahū kiyā hai jo paanī to ab falāh mirī
chalī hai jhuum ke tālāb dekhne ke liye
zarā sā aur Thahar jā to par lagegā tirā
to ham bhī ā.eñge surḳhāb dekhne ke liye
pakaḌ meñ aa gayā ehsās chhup ke aayā thā
ġhamoñ kī jhiil meñ sailāb dekhne ke liye
tujhe parakh hī nahīñ hai maiñ ek 'aḳhtar' huuñ
to phir taras tū mirā ḳhvāb dekhne ke liye
jahan-e-reg tera aab dekhne ke liye
mili hai aankh mujhe KHwab dekhne ke liye
gahan laga de agar zulf se tu chehre par
main aankh phoD lun mahtab dekhne ke liye
ye kya sitam hai ki aata hun ek sahra se
zara si ghas ko shadab dekhne ke liye
uThe the shauq se apna hi chain kho baiThe
wo mere haal ko betab dekhne ke liye
lahu kiya hai jo pani to ab falah meri
chali hai jhum ke talab dekhne ke liye
zara sa aur Thahar ja to par lagega tera
to hum bhi aaenge surKHab dekhne ke liye
pakaD mein aa gaya ehsas chhup ke aaya tha
ghamon ki jhil mein sailab dekhne ke liye
tujhe parakh hi nahin hai main ek 'aKHtar' hun
to phir taras tu mera KHwab dekhne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.