jahan-e-taza ke afkar sath le jao
jahān-e-tāza ke afkār saath le jaao
mirī ġhazal mire ash.ār saath le jaao
qadam qadam pe yahāñ degrēyāñ to miltī haiñ
ḳhudā ke vāste me.aar saath le jaao
rah-e-hayāt meñ insāniyat bhī biktī hai
zarā sambhāl ke kirdār saath le jaao
dayār-e-ġhair meñ pūchhegā ḳhairiyat koī
tum apne shahr kā aḳhbār saath le jaao
diloñ ke beach jahāñ ho adāvatoñ kī ḳhalīj
vahāñ ḳhulūs kī patvār saath le jaao
jahan-e-taza ke afkar sath le jao
meri ghazal mere ashaar sath le jao
qadam qadam pe yahan degreeyan to milti hain
KHuda ke waste mear sath le jao
rah-e-hayat mein insaniyat bhi bikti hai
zara sambhaal ke kirdar sath le jao
dayar-e-ghair mein puchhega KHairiyat koi
tum apne shahr ka aKHbar sath le jao
dilon ke beach jahan ho adawaton ki KHalij
wahan KHulus ki patwar sath le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.