jahan-e-wahshat ke kar-KHane mein kaun kar-e-junun karega
jahān-e-vahshat ke kār-ḳhāne meñ kaun kār-e-junūñ karegā
hamāre jaane ke baa'd bhī kyā koī fazā nīlgūñ karegā
ye apne ḳheme kā ek bīmār aadmī hai jo beḌiyoñ meñ
tumhārī āñkheñ baras paḌeñgī bayāñ jo hāl-e-darūñ karegā
bas ek chhoTe se niim qasbe kā rahne vaalā 'ajīb laḌkā
kise ḳhabar thī ki vaqt ke bādshāh kā sar nigūñ karegā
koī to hogā ki jis pe ik din ye rāz-e-kaun-o-makāñ khulegā
ham aise majnūñ pe sab se pahle vo āshkār-e-fusūñ karegā
guzarte mausam ke saath zaḳhm-e-jigar bhī nāsūr ho rahā hai
vo ek baar apne haath phere ye raushnī juuñ kā tuuñ karegā
maiñ dasht meñ nīm-shab ko āḳhir batāo rahvār roktā kyoñ
ye jāntā gar ki merā dushman bhī aaj hī merā ḳhuuñ karegā
vo ek būḌhā shajar bhī 'āsif' ḳhizāñ-rasīda hī ho rahā hai
ye vaqt kī tez dhuup āḳhir kahāñ talak pur-sukūñ karegā
jahan-e-wahshat ke kar-KHane mein kaun kar-e-junun karega
hamare jaane ke ba'd bhi kya koi faza nilgun karega
ye apne KHeme ka ek bimar aadmi hai jo beDiyon mein
tumhaari aankhen baras paDengi bayan jo haal-e-darun karega
bas ek chhoTe se nim qasbe ka rahne wala 'ajib laDka
kise KHabar thi ki waqt ke baadshah ka sar nigun karega
koi to hoga ki jis pe ek din ye raaz-e-kaun-o-makan khulega
hum aise majnun pe sab se pahle wo aashkar-e-fusun karega
guzarte mausam ke sath zaKHm-e-jigar bhi nasur ho raha hai
wo ek bar apne hath phere ye raushni jun ka tun karega
main dasht mein nim-shab ko aaKHir batao rahwar rokta kyon
ye jaanta gar ki mera dushman bhi aaj hi mera KHun karega
wo ek buDha shajar bhi 'asif' KHizan-rasida hi ho raha hai
ye waqt ki tez dhup aaKHir kahan talak pur-sukun karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.