jahan-e-zindagi hai aur hum hain
jahān-e-zindagī hai aur ham haiñ
hamārī bebasī hai aur ham haiñ
hai Duubī bahr-e-ġham meñ apnī kashtī
isī se hamdamī hai aur ham haiñ
hamārī zindagī kyā aur ham kyā
ajal sar par khaḌī hai aur ham haiñ
paḌā hai vāsta jin sā.atoñ se
har ik saa.at kaḌī hai aur ham haiñ
yahī duniyā hai jis ke pech-o-ḳham meñ
hamārī shā.irī hai aur ham haiñ
jahān-e-nau kī rangīnī kā aalam
usī kī dilkashī hai aur ham haiñ
jahan-e-zindagi hai aur hum hain
hamari bebasi hai aur hum hain
hai Dubi bahr-e-gham mein apni kashti
isi se hamdami hai aur hum hain
hamari zindagi kya aur hum kya
ajal sar par khaDi hai aur hum hain
paDa hai wasta jin saaton se
har ek saat kaDi hai aur hum hain
yahi duniya hai jis ke pech-o-KHam mein
hamari shairi hai aur hum hain
jahan-e-nau ki rangini ka aalam
usi ki dilkashi hai aur hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.