jahan ghar hoga dar hoga hamara
jahāñ ghar hogā dar hogā hamārā
vahāñ se kab guzar hogā hamārā
agar ham haiñ sitāroñ ke asar meñ
sitāroñ par asar hogā hamārā
tumheñ niiñd aa rahī hai shaam hī se
tamāshā raat bhar hogā hamārā
nikāle jā.eñge pahlū hazāroñ
fasāna muḳhtasar hogā hamārā
na kāTeñ raat kyūñ-kar us galī meñ
vahāñ ḳhvāb-e-sahar hogā hamārā
ye jo Darne lagā hai ham se dushman
ḳhudā pesh-e-nazar hogā hamārā
jahan ghar hoga dar hoga hamara
wahan se kab guzar hoga hamara
agar hum hain sitaron ke asar mein
sitaron par asar hoga hamara
tumhein nind aa rahi hai sham hi se
tamasha raat bhar hoga hamara
nikale jaenge pahlu hazaron
fasana muKHtasar hoga hamara
na kaTen raat kyun-kar us gali mein
wahan KHwab-e-sahar hoga hamara
ye jo Darne laga hai hum se dushman
KHuda pesh-e-nazar hoga hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.