jahan hum tum milen firdaus wo virana ho jae
jahāñ ham tum mileñ firdaus vo vīrāna ho jaa.e
piyeñ mai jis jagah vo rashk-e-sad-mai-ḳhāna ho jaa.e
agar dil be-niyāz-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ho jaa.e
tajallī-rez har jānib ruḳh-e-jānāna ho jaa.e
maiñ betāb-e-tamanna huuñ vo majbūr-e-tamāshā haiñ
kahīñ rāz-e-mohabbat bazm meñ rusvā na ho jaa.e
nigāh-e-tund phir ai kaash paḌ jaa.e mire dil par
sharāb-e-talḳh se labrez phir paimāna ho jaa.e
pahuñch jaa.e mirā dast-e-tamannā un ke dāman tak
agar terā karam ai jur.at-e-rindāna ho jaa.e
isī hasrat meñ shab-bhar rahtī hai bechain niiñd apnī
ki vo jān-e-tamannā raunaq-e-kāshāna ho jaa.e
hai merī dāstān-e-dil bhī koī dāstāñ lekin
suno gar shauq se afsāna-dar-afsāna ho jaa.e
girūñ mastī meñ sau sau baar ḳham se Thokareñ khā kar
namāz-e-āshiqī har laġhzish-e-mastāna ho jaa.e
tajallī kī ye bārish aur mirī hairat kā ye aalam
kahīñ jalva naqāb-e-jalva-e-zebā na ho jaa.e
fidā vo sham.a par ho maiñ nisār-e-rū-e-tābāñ huuñ
mirī himmat javāb-e-himmat-e-parvāna ho jaa.e
na but-ḳhāne ke laa.eq hai na ka.abe hī ke qābil hai
na dil jab tak ḳharāb-e-nargis-e-mastānā ho jaa.e
mirī hastī hijāb-e-husn hai rāh-e-mohabbat meñ
ye parda gar uThe nazzāra-e-jānāna ho jaa.e
jahan hum tum milen firdaus wo virana ho jae
piyen mai jis jagah wo rashk-e-sad-mai-KHana ho jae
agar dil be-niyaz-e-kaba-o-but-KHana ho jae
tajalli-rez har jaanib ruKH-e-jaanana ho jae
main betab-e-tamanna hun wo majbur-e-tamasha hain
kahin raaz-e-mohabbat bazm mein ruswa na ho jae
nigah-e-tund phir ai kash paD jae mere dil par
sharab-e-talKH se labrez phir paimana ho jae
pahunch jae mera dast-e-tamanna un ke daman tak
agar tera karam ai jurat-e-rindana ho jae
isi hasrat mein shab-bhar rahti hai bechain nind apni
ki wo jaan-e-tamanna raunaq-e-kashana ho jae
hai meri dastan-e-dil bhi koi dastan lekin
suno gar shauq se afsana-dar-afsana ho jae
girun masti mein sau sau bar KHam se Thokaren kha kar
namaz-e-ashiqi har laghzish-e-mastana ho jae
tajalli ki ye barish aur meri hairat ka ye aalam
kahin jalwa naqab-e-jalwa-e-zeba na ho jae
fida wo shama par ho main nisar-e-ru-e-taban hun
meri himmat jawab-e-himmat-e-parwana ho jae
na but-KHane ke laeq hai na kabe hi ke qabil hai
na dil jab tak KHarab-e-nargis-e-mastana ho jae
meri hasti hijab-e-husn hai rah-e-mohabbat mein
ye parda gar uThe nazzara-e-jaanana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.