jahan hum tumhaari panahon mein the
jahāñ ham tumhārī panāhoñ meñ the
vahāñ sabz saa.e bhī rāhoñ meñ the
miyāñ dhuul āñkhoñ meñ jhoñkī ga.ī
ka.ī log merī nigāhoñ meñ the
vahī mohtasib haiñ unheñ kyā kaheñ
vo shāmil hamāre gunāhoñ meñ the
zamāna mire saath tab bhī na thā
magar tum mire ḳhair-ḳhvāhoñ meñ the
kahīñ par to bijlī girī hai 'ayāz'
ka.ī kārvāñ ab bhī rāhoñ meñ the
jahan hum tumhaari panahon mein the
wahan sabz sae bhi rahon mein the
miyan dhul aankhon mein jhonki gai
kai log meri nigahon mein the
wahi mohtasib hain unhen kya kahen
wo shamil hamare gunahon mein the
zamana mere sath tab bhi na tha
magar tum mere KHair-KHwahon mein the
kahin par to bijli giri hai 'ayaz'
kai karwan ab bhi rahon mein the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.