jahan-jahan se bhi jhilmil teri guzarti hai
jahāñ-jahāñ se bhī jhilmil tirī guzartī hai
diloñ ko aa.ina kartī huī guzartī hai
nujūm donoñ taraf saf-ba-saf khaḌe hue haiñ
fazā-e-shab se tirī pālkī guzartī hai
tire baġhair hameñ saañs tak nahīñ aatī
kabhī to is se bhī mushkil ghaḌī guzartī hai
nashāt-e-shām-e-tilismāt ko davām nahīñ
lahū se mauj-e-shafaq aarzī guzartī hai
ufuq pe rahtī nahīñ der tak chamak merī
shahābī raushnī yak-bārgī guzartī hai
ye zindagī bhī ajab hai ki dostoñ ke baġhair
kabhī guzartī nahīñ hai kabhī guzartī hai
bas ek raat kā TukḌā hai kahkashāñ-āsār
baqāyā shab to añdheroñ meñ hī guzartī hai
hazār hāl-o-maqāmāt se guzartā hai dil
nazar se masnavī-e-ma.anavī guzartī hai
hayāt apne tasalsul meñ hai abad-āhang
ki ik guzar ga.ī hai dūsrī guzartī hai
kasīf dil se ḳhushī mun'atif nahīñ hotī
siyāh shīshe se kab chāñdnī guzartī hai
bhuchak ke dekhte haiñ bail-gāḌiyoñ vaale
saroñ se koī uḌan tashtarī guzartī hai
agar guzartā hai din mujh meñ chhe mahīnoñ kā
to itne arse kī phir raat bhī guzartī hai
ḳhud apnī aag meñ jaltī hai auñdhe muñh gir kar
ye kis azaab se duniyā tirī guzartī hai
sharāb o shahd kī nahreñ yahāñ nahīñ bahtīñ
zamīñ ke baaġh se ḳhuuñ kī nadī guzartī hai
samay ke parda-e-sīmīñ pe kyā dikhā.eñ tumheñ
jo lā-shu.ūr se be-manzarī guzartī hai
guzār lete haiñ āḳhir guzārne vaale
hayāt jaisī bhī achchhī burī guzartī hai
jahāñ sujūd meñ gir jaanā chāhiye us ko
vahāñ se ḳhalq-e-ḳhudā sarsarī guzartī hai
daboch letā hai dil kā siyāh rauzan use
qarīb se jo koī raushnī guzartī hai
makān koh-e-nidā ke qarīb hai 'shāhid'
samā.atoñ se navā nit na.ī guzartī hai
jahan-jahan se bhi jhilmil teri guzarti hai
dilon ko aaina karti hui guzarti hai
nujum donon taraf saf-ba-saf khaDe hue hain
faza-e-shab se teri palki guzarti hai
tere baghair hamein sans tak nahin aati
kabhi to is se bhi mushkil ghaDi guzarti hai
nashat-e-sham-e-tilismat ko dawam nahin
lahu se mauj-e-shafaq aarzi guzarti hai
ufuq pe rahti nahin der tak chamak meri
shahabi raushni yak-bargi guzarti hai
ye zindagi bhi ajab hai ki doston ke baghair
kabhi guzarti nahin hai kabhi guzarti hai
bas ek raat ka TukDa hai kahkashan-asar
baqaya shab to andheron mein hi guzarti hai
hazar haal-o-maqamat se guzarta hai dil
nazar se masnawi-e-manawi guzarti hai
hayat apne tasalsul mein hai abad-ahang
ki ek guzar gai hai dusri guzarti hai
kasif dil se KHushi mun'atif nahin hoti
siyah shishe se kab chandni guzarti hai
bhuchak ke dekhte hain bail-gaDiyon wale
saron se koi uDan tashtari guzarti hai
agar guzarta hai din mujh mein chhe mahinon ka
to itne arse ki phir raat bhi guzarti hai
KHud apni aag mein jalti hai aundhe munh gir kar
ye kis azab se duniya teri guzarti hai
sharab o shahd ki nahren yahan nahin bahtin
zamin ke bagh se KHun ki nadi guzarti hai
samay ke parda-e-simin pe kya dikhaen tumhein
jo la-shuur se be-manzari guzarti hai
guzar lete hain aaKHir guzarne wale
hayat jaisi bhi achchhi buri guzarti hai
jahan sujud mein gir jaana chahiye us ko
wahan se KHalq-e-KHuda sarsari guzarti hai
daboch leta hai dil ka siyah rauzan use
qarib se jo koi raushni guzarti hai
makan koh-e-nida ke qarib hai 'shahid'
samaaton se nawa nit nai guzarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.